“Kyu?”

Kyu mere jism ko apna shikar bnate ho

Kyu mujh par hi tum nazare tikate ho

Kyu mujh ko khul ke jeene nahi dete ho

Kyu aaj bhi tumhari zid puri karne ko mai hi milti hu ya yun kaho khud se jeetne ki zid ne tumhe andha bna diya hai

Kyu tumhe meri lachari or bebasi nahi dikhti

Kyu tum mere jism ko iss tarha niharte ho ki mujhe khud par sharminda hona padhta hai

Kyu tum meri umr dekh kar rishte nahi nibhate ho

kyu tumne mujhe khud se nafrat karne ko majboor kiya

Kyu aaj bhi mai seham jati hu jab tumhara zikr hota hai

Kyu mujhe uss khuda ne ek gulab ki kali bnaya

Kyu mai duniya me aane ke liye bebas hui

Kyu tumhe mujhe par taras nahi aya

Kyu tumhe har bar mai hi milli

Kyu tumne dusro ki khushiyan cheeni

Kyu roz mai us parvardigar ko mere ladki hone par kosti hu

Kyu mujhe ladki hone par ek sharmindagi hoti hai

Kya betegi tum par agar mai tumhare ghar ki roshni hoti

Kya tum apni ladli ko bchate nahi

Kyu tumhe apni seema nahi pata

Acha hota mai tumhare angan ki khushi hoti kam se kam mujhe khud par sharmindagi nahi hoti

Kya tum apni lado ko apne se lgaoge ya thukraoge

Kya tum mujhe bacha paoge apne sathiyon se

Kya beet ti tum par agar mai tumhare jigar ka tukda hoti

Tum mujhe kya mehsus karvana chahte ho

GARV OR KHUD PAR SHARMINDAKI ?

21 thoughts on ““Kyu?””

Leave a comment